Tuesday, February 16, 2010

Shayari ........

MERI SAADGI MERA JURM HAi



Yahan chahton ka sila nahi,
yahan dosti ka maza nahi,
yahan janay kesi hawa chali,
Rahi dostoon main wafa nahi,
yahan jal gaya mera aashiana,
Abhi badlon ko pata nahi,
Teray dar pe dastak de sakon,
ye haq to tum ne dia nahi,
Main raahi hon raah-e-umeed ka,
Mujhay manzilon ka pata nahi,
Be bas hon jahan main isqader,
jaisay mera koi “KHUDA” nahi,
MERI SAADGI MERA JURM HAi,
KOI AUR MERI KHATA NAHI.






ZinDagi


Zindgi ik sawal labon pe goya adhoora sa
nainon ka khwab kuch mukammal kuch pura sa
suno safer-e-zindagi main hum safer milen ge
kabhi gum kabhi khushi k phool khilen ge
zindgi imtihan, bhi azmaesh bhi apnon k liye
khoon-e-dil de ker jity hain yahan
Tooty sapnoon k liye…





AaNsoo



Osne apni ungaliyon se
aik aik
ker k
apny sary
AaNsoo
samait liye
aur socha k
Ashaq samaitny wala
aj itny Ashaq kesy de gaya??





Zarruri to nahi


Adhura ker k afsana usne kaha
puri ho har dastan zaruri to nahi
Aankhen
har terha k jazbat ka aelaan hain ankhen
shabnam kabhi shola kabhi tufan hain ankhen
ankhen hi milati hain zamany main diloon ko
anjaan hain hum tum, ager anjaan hain ankhen
lab kuch b kahen is se hakikat nahi khulti
insaan k sach jhoot ki pehchan hain ankhen
ankhen na jhuken teri kisi ghair k agey
dunya main Meri Jan, bari cheeenz hain ankhen




Mery Geet


Mane jo geet tery pyar ki khatir likhy
aj in geeton ko bazar main le aya hun
aj bazar main neelam uthy ga in ka
tu ne jin geeton pe rakhi thi mohabat ki asass
aj chandi k tarazoo main tully gi her cheez
mery afqaar, meri shayari, mera ehsas



About The Author :

This post is written by AbhiFunWorld team member who continiously work to provide better things to the people out there. Keep visiting and sharing this blog posts with your friends.
View All Posts

0 Encourage me By writing Your Comments:

All Rights Reserved. 2015 Copyright AbhiFunWorld

Published and http://abhifunworld.blogspot.in/ Designed By : BloggerMotion

Top