Mujhko Dard se Inkaar Karna Parta Hai
Kuch Is Tarha Se Uay Pyaar Karna Parta Hai,
K Apnay Pyaar Se Inkar Karna Parta hai,
Kabhi Kabhi Toh Woh Itna Qareeb Hota Hai,
K APnay Apko Dewaar Karna Parta Hai,
Khuda Ne Usko Ataa Ki Hai Maseehaai,
K Khud Ko Jaan K Beemar Karna Parta Hai,
Wafa Ki Raah Mein Dushwariyaan Toh Ati Hain,
Wafa Ki Raah Ko Humwaar Karna Parta Hai,
Woh Haath Rakh K Mere DIL Par Jab Bhi Puchta Hai,
Toh Mujhko Dard Se Inkaar Karna Parta Haii………!!!!
Dil hi dukhany k liye
Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa
aa phir e mjhy chor k jany k liye aa
pehly se marasim na sahi phir b kabi to
rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa
kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa
ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden
ye aakhri shammen b bujhany k liye aa
Zindgi jeene se Qabal
Apny dard barha leti hun
yadon main usey pas bula leti hun
zindgi jeeny se qabal jo maar gya tha
har pal usy jeeny ki dua deti hun
Chahat
Dil k jazbon ko sanbhal k rakho sada
ye mooti wafa k, inhen rola nahi kerty
chahat k dareechy bohat anmool hoty hain
har kisi k liye in dareechon ko khola nahi kerty
Mohabat ki Haqeeqat
Mohabat sirf visal-e-sanam kab hai
is k hazaroon roop rang hain
ye har rang main muskurati hai
Rooty bachy ko chup karna b Mohabat hai
door kisi gareeb k ghar main
band choolha jalana b mohabat hai
jo har eid per nae kapron ko tarsty hain
os masoom bachon ko nae jory zaiz tan krwana
bhi Mohabat hai
wo jin k ansoo ponchny waly nahi rahy
un ki mayoosiyan mitana hi mohabat hai
tTu bhaly gam se choor choor Ae Dil
logon kgam dil pe lena bhi mohabat hai
main to shayer hon
karon mohabat ko kesy bayan??
jo de nafrat, ata Mohabat karo,
shayad yehi mohabat hai...
0 Encourage me By writing Your Comments: