Jo Zakham tu ne Diye
jo zakhm tu nay diye thay woh bhertay jatay haincharhay hoay thay jo dariya utartay jatay hain
yeh ahel_e_shahr_e_wafa hain ajab bahar parustsarooo kay phool faseelo’n pay dhertay jatay hain
nahi hai aur tu kuch bhi hamaray hatoo’n mainsiva_ye_arz_e_tamman na so kertay jata hain
ajeeb loog hain , yeh ahel_e_intezaar kay jokhud apni aag main jul kar sa’nwertay jatay hain
najanay kaun si basti kay hain yeh bashindey!nazar uthatey nahi aur guzertay jatay hain
yeh aaj shaher pay utri hay kis bala ki raatcharaagh apni lawoo’n say mukertay jatay hain
darakht shaam ko lagtay hain shaher say amjadkay shaakh shaakh parinday utartay jatay hain.
Koi Khawb ho ya Azaab Ho
Agar ae sanam teri zulf mein mere nam ka koi phool haito kbhi kbhi yun hi besabab tera roothna b qabool hai
jise chaho us ki dua kro, jise chaho us se wafa kroyhi ishq waalon ki shart hai, yhi ulfton ka usool hai
arre jis k piar ne dosto mujhe sher kehna sikha diaagar us ki bat na ho ske to yeh shaaeri b fuzool hai
sre sham tere tamam khat, teri hr nishani ko dekhnameri zindgi ka mizaj hai, meri chahton ka wasool hai
wo nhi hai to mre dosto shab e chodhween b udas haiyeh jo jhilmilati hai chandni, yeh to us k qadmon ki dhool hai
teri aas mein ho racha hua, teri zat se ho jura huakoi khwab ho ya azab ho, meri jan mujh ko qabool hai…!
Phoolon Ko Aag Lag Gayi
pholoo’n ko aag lug gaiee nughmaat jal gayeeysooraj ki taiz dhoop main lumhaat jal gayeey
ub daaman_e_hayat main kuch bhi nahi rahafurda ki surd aag main halaat jal gayeey
kaliyaa’n chatuk rahi hain k shakhoo’n pai aablayghunchoo’n ki nukhatoo’n say mere haath jal gayeey
ub kay baras , bahar baseerat ko dass gaieefikr_o_nazar kay jhoomtay baghaat jal gayeey
saghar lutay lutay hain , sitarey bujhay bujhayshayad mere naseeb kay din raat jal gayeey.
·
0 Encourage me By writing Your Comments: