Aaj hawa ne phir se wahi beeti baat dohrayi hai,
Mere guzre bachpan ki yadeen apne sath wo layi hai!
Ek mamta ki chao me maine sari umar beetayi hai,
Apne gamon ke sailabo ko jo has kar sehti ayi hai!
Mere guzre bachpan ki yadeen apne sath wo layi hai!
Ek mamta ki chao me maine sari umar beetayi hai,
Apne gamon ke sailabo ko jo has kar sehti ayi hai!
Khali pet na jane unhone kitni raaten bitayi hai,
Najane raato ko jag jag kar kitni loriya gayi hai!
Mere sare zakhmo pe wo marham lagati ayi hai,
Jab bhi dard hua hai mujhe wo ansoo bahati ayi hai!
Mere sare sapno ko manzil ke karib jo layi hai,
Bas unki duaon se hi maine apni pehchaan banayi hai!
Aj mehsoos hua mere andar unki parchayi hai,
Khuskismat hu mai ke maine MAA KI MAMTA payi hai!
0 Encourage me By writing Your Comments: