Mein ne Poocha kesey ho
Badley Ho ya wesey ho
Roop wohi, Andaaz wohi
ya phir is mein koi kami
Hijr ka kuch ehsaas to hoga
koi tumharey pass to hoga
mein Bichra ye majboori thi
kab manzoor mujhey Doori thi
saath Humara kab choota hai
Rooh ka Rishta kab Toota hai
Aankh se jo aansu Behtey hain
Tum ko khabar hai kia kehtey hain
mein ne kaha aawaz tumhari
aaj Bhi hai Humraaz Hamari
Phool wafa k khil jaain ge
ik Din Phir Ham mil jaain ge
dost kia khoob wafaoon ka sila dete hain
her nayee mor pe ek drad naya dete hain
tum se tu khair ghaari bhar ki mulaqaat rahi
log sadioon ki rafaqat bhula dete hain
kese mumkin hai dhuan bhi na ho aur dil bhi jaly
choot perti hai tu pathar bhi sada dete hain
kaun hota hai museebat main kisi ka aye dost!
aag lagti hai tu patay bhi hawa dete hain
jin pe hota hai dil ko bharossa
wqat parne pe wahi log dhoka dete hain
0 Encourage me By writing Your Comments: